Wednesday, January 12, 2011

ROOH KA BANJARA RE PARINDA

[Rooh ka banjara re parinda]







Is banjar basti ko basaaate banjaree]
Na koi gharonda(ghar) na koi chaaav
Chang/iktara hath me liye dr dr ghumte dhani/gao ........

Ye kahani hai 2 dosto ki.

{Safdar or madir banjare ki......}


05/01/97...............
[Haranchappda dhani]


Abhi suraj angdaiya lene hi wala tha
ki ek swar me maai ki awaj aati hai.
Uth mara beera
aa dekh safdar suraj ugi geeoo
mara beera tha bi aankhiya khol .
(Neend me safdar dheemi aawaj me)
mai sone dena.
They abaar mahne sova de...
Uth beera tanee bapu sang mela me koni jandoo ki...
Maai tu bapu ne rook me jaaun uke sang.
Me uui geo jo ui aaiyoo(me u gya or u aya)...
Bapu gussse me
kattrii ghadi lga di beera,ab chaal...
(maa jangle me se safdar ko neharti)
or ishare se bulati aale thare waste m thaki rotiya band di.bhuk lagi je to rotiya khava li jieeoo...
Safdr bapu ki ungli pakde reet ke khandar wali basti ki or chal diya jaha haranchapdaa kabile ke banjaro ki toli aai hui thi....
Safdr bapu ki ungli chod reet ke tiilo me ja kar baith gya.
Kuch antral bad(samay bad) uska dhyan ektara ki madhur awaj ne uska maan aakrshit kiya. Upr Khule aasman ki or dekhta to wo kbhi idhr udhr dekhta na jane in hawaaon ke sath ye awaaj kaha se aarhi thi.safdr prafulit maan se aawaj ki disha ki or bd chala ,ye awaj reet ke sabse bade tiile ke paas se arhi thi..
Safdr awaaj ki disha tak phuch jata hai  tiile pr chad kr dekhta hai ki uuut(camel) ki sirhane liye ek chota sa banjara baitha iktara bja rha hai. safdar bhagte hue tiile se pisal gya or reet ke pahaad me gula mati marte hue uuut se ja bhida.
Jb ankh khuli to dekha wo banjara safdr ko dekh kr jor jor se has rha tha.safdr ke pure kapdo me reet bhar gyi thi or uska muuh bhi reet ke bhut jaisa dikh rha tha,
safdr ko is hal me rota dekh banjara chup ho gya.or wo bhi reet ke pahad pr chad kr gula mati marta,idhr udhr kudta uuut se ja bhida.
Banjare ko aisa karte dekh safdr bhi jor jor se hasne laga.or dono reet ke pahad pr pura waqt khelte rahe kbhi wo uuut ki puch kichte to kbhi us pr savari krte to kbhi dono iktara bja kr haste nachte
madir sabse bade tiile pr chad kr aakash me udte panchiyo ko dekhta o kir safdar se kehta hai kaash mere bhi pankh hote
safdr ha fir hum dono door badlo ki ser karte ..,..,,.,, pr in nanhe parindo ke irade majboot they uuut pr chad kr aakash ko chune ki kosish krte
inhe aisa krte dekh mano badal bhi muskura uthe ho tbhi to bhuk ke mare madir or safdar ko badal jalebi or rasbari  najar aarhe they
Sham hone ko thi
Suraj ko dhalta dekh dono uuut pr baith khandar wali basti jaha safdr ke bapu or chote banjare ke kabile wale ruke they wahi chal padte hai
Safdr bapu ko dekh uuut se utr kr bapu ke paas chale jata hai.
Bapu gusse me.......................................hm
katttrii der se m thako intejar kr rha hu.
Kathe giuu cho?...ab chaal
bapu aage aage chal rhe they or yahan safdr miya
jate jate banjare se hath mila rha tha.

Bapu piche mud kr dekhte hai or jor se chilla kr awaj dete hai ab chaal beera
safdr hath chudate hue kehta hai hum kal milenge...................
Pr safdar ki rooti ka jhola wahi wo bhul jata hai.
Madir safdr ko hath se ishara krta hai or safdr bhi dhoor se use aisa krte dekh hath hila kr muskurata hai

safdr bapu ki or bhagte hue unke piche piche chal diya.







Safdr ki maai jangle se unke ane ki rah nihar rhi thi.
Safdr maai ko dekh unke paas doda .
aagio mara ladesar(folk word)
maai safdar ke kapdo ko niharti or muskra kr safdr ke sir pr apna hath feyrti...
safdr maai mane jor ki bhuk laagi hai,maai khavo ko kuch do na.
Abar tu muh hath dhole me thaki or thare bapu sa ki thali parosti hu....
Maai ke hath se khane ka pehla niwala khake
maai ko madir ke sath gujre din ki manghdank(apni kalpanik khani) khani sunata....
Or maai uski muskan se me hami bhar kr use khana khilati.
Khane khake safdr aangan me baithi maa ke hi aanchal me taro ko neharta so gya.
safdr ke
Sapne me wo or madir badlo ki ser karne nikalte.pantag ki trah asman ko chumte....

kismat ka khela

Jaha ek traf safdr apne sapno me khoya tha,.
Madir banjara safdar ke jhole ko apne gale se lagye iktara bjata or safdr ko yaad krta fir wo angidi(aaag) jalye apne maa bapu or kabile ke banjaro ke pass saman bandhe baith gya
banjare raat dhalne ka intejar kr rhe they
ye banjar basti jo in banjaro ne bsai thi wo firse suni hone wali .madir maan hi maan rota.

¤Banjaro ki kismat me ye kaisa khel hai zindgi ne khela
unka jeevan to sirf hai ek mela¤

or al subha wo sub banjare ek nyi dhani ki or chal diye.
Ek nayi zameen ko firse basti bnane
ek banjar tiilo ko bsane...

Pr yahan safdr ki subha adhure khawbo ki angdaiyo se hui...

Uske jehan me to ab tak wo iktara gunj rha tha.
Wo khandar basti ki or doda.
Pr rooh ka banjara ye parinda.
Ye gharonda/ye basti/galiya chod ke jaa chuka tha.safdar ka madir banjara dost uski yado ko in khandaro me akela chodke ja chla gya tha.
Wo roote hue aasman ,reet ke tiilo ko dekh kr chilla kr roote hue maan se kehta fir kyu sunaye tune ye geet malhaar ke.



Biti raat basi basi
padi hai sihane
bandh darwaja dekhe looti hai subha
thandi hai angidi sili
ab sili hai diware
gunje tak-rake inme
gunji koi dua

safdr ko khandar ke sirahne apna roti ka jhola dikhta hai
or usme madir ka iktara bhi tha jo wo safdr ke liye chod gya tha.
Safdr iktara liye apne ghar chala gya.


 fir
ek subha uski najar aakash me udti hui patang pr gayi  use laga ki uska madir banjara loot aaya hai wo iktara hath me liye bjate hue khandar ke pass chala jata hai
banjare ki toli is banjar basti me loot ayi thi.
pr safdr madir ko waha na dekh roo padta hai...............
fir uski najar khandar ki sirhane baithe madir or uske bapu pr padti hai........ madir ek hadse me apna ek hath gawa chuka tha.............safdar ko pass ate dekh madir use chune ki koshish me apna hath aage bdata hai madir ko aisa krte dekh safdar ke ankhe bhar ati hai ..............
madir > safdr dekh ab to ye aakaash bhi mujhse dur ho gya mere hath ab in tak kbhi na phuchenge
safdr uska hosla bdata or ghar se dori or patang lekr ataaaaa
patang bandh or likh diya us par madir banjare ka naam


dekh madir ab chu liya tune bhi ye aakash.............................................................................................................................................................

Thursday, January 6, 2011

These lines r written by one f india's greatest writter
Best seller book writter
[HA TUM EK VIJAYTA HO]
almost 4edition publishd.PUSTAK MAHAL
.
Born in 10:july:1970.

Vry genric, inspiring personality.
Postive attitude.

BUSINESS GURU,MY TEACHER
¤[MR. R.S CHOYAL]sir.




¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤

PANKHDekh kar
pankh maa se bola mera mann
mai kab udunga mai kab is
aasman ko chuunga
Maa muze bhi
udana sikha do Pankh apne jaise
mere bhi laga do Udaan ho meri
saat samunder paar aisia hosla
muze doHas ke boli maa lal mere
sapne pure ho tere per kaise
kahu ki kismat ne ki hai badi
humse na diye pankh jo naap le
samnder ke fare
Maa mai to saat
smaunder jaunga vaha se bali
sone ki tere liye launga
Roz udta
dur dur per pankh sath na dete
har baar use chhota bana dete
mayus tab bhi na vo hota
himmat dhikhata maa ko bhale
akele mai rotaRang satrangi dhek
pankho ka vo bola mai inka kya
karunga mai to bus sat samunder
par udunga
Pakad bahaliye ne
becha ek pardesi ko Le gaya apne
sath vo unhe bhi saat samunder
paar angan mai chhod khula bola
vo
Pankh
chhote the tere per hosla tha
bada Mai hi teri kismat hu le aaya
hu tuze tere sapno ke des mai ja
le aa sone ki bali or bata de sabko
kewal pankho se udan nahi hoti
mehnat karne walo ki kabhi har
nahi hoti¤ Radhey